Nafaz nafaz kadam kadam
Bas ek fiqr dam- badam
Gire hain hum sawaal se
Humein jawab chahiye
Jawab 'gar sawal hai
To inquilab chahiye
Inquilab zindabad
Zindabad inquilab
Jahaan avam ke khilaf sazishein ho shaan se
Jahaan pe begunah haath dho rahein ho jaan se
Jahaan pe lavs-e-aam pe ek khaufnak raaz ho
Jahaan kabutaron ka sarparast ek baaz ho
Wahaan na chup rahenge hum
Kahenge ha kahenge hum
Humara haq humara haq
Humein janab chahiye
Yakeen ankh mud kar kiya tha jinpe jaan par
Wohi humare saamne khara hai seena taan kar
Unhiki sarhadon mein qaid hain humari boliyan
Wohi humare khaal mein baras rahein hain goliyan
Tu unki jhuti baat par
Na aur aetbar kar
Ke tujhko saans-saans ka
Sahi hisaab chahiye
Gire hain hum sawaal se
Hume jawab chahiye
Tasallio ke itne saal baad apne hal par
Nigah dal soch kar soch kar sawaal kar
Kahaan gaye woh wayedein, sukhon ke khwab kya huye
Tujhe tha jinka intezaar woh jawaab kya huye
Tu unki jhuti baat par
Na aur aetbar kar
Ke tujhko saans-saans ka
Sahi hisaab chahiye
Gire hain hum sawaal se
Hume jawab chahiye
2 comments:
For the love of all things good, I am never going to sing this song again in public.
It's a nice song though. I like listening to it.
bolle ki hobe, gaanta-r hebby demand hoyeche it seems...people wanted us to sing it at the RTI workshop. that, in spite of our disastrous performance at the seminar. onnerao email kore lyrics cheye pathieche. dhommer kol batashe nore ar ki, heh.
Post a Comment